Ek Din Maiya Parvati,
Bhole Se Lagi Kehne,
Mujhko Bhi Ghadwa Do Mere Swami,
Sone Ke Gahne.
Maine Lakshmi Ko Dekha,
Maine Indrani Dekhi,
Tino Loko Mein Jaakar,
Rani Maharani Dekhi,
Ek Se Badhkar Ek Sabhi Ne,
Aabhushan Pehene,
Mujhko Bhi Ghadwa Do Mere Swami,
Sone Ke Gahne.
Baat Sunkar Gaura Ki,
Bhole Ne Ye Samjhaya,
Ek Aughad Dani Ke,
Paas Na Hoti Maya,
Jo Jaise Rahte Hai Unko,
Vaise Do Rahne,
Mujhko Bhi Ghadwa Do Mere Swami,
Sone Ke Gahne.
Chutki Bhar Bhasmi Di Aur,
Bole Kubar Ke Jaana,
Wahan Se Iske Jitna,
Tol Ke Sona Laana,
Chutki Bhar Mein Kya Ho,
Gaura Soch Rahi Mann Mein,
Mujhko Bhi Ghadwa Do Mere Swami,
Sone Ke Gahne.
Ek Palde Par Sona,
Ek Par Bhasmi Daali,
Sona Rakh Daala Saara,
Padla Bhasmi Ka Bhaari,
Hua Khazana Khaali,
Kuch Na Paas Bacha Dharne,
Mujhko Bhi Ghadwa Do Mere Swami,
Sone Ke Gahne.
Dekh Bhasmi Ki Maya,
Khuli Gaura Ki Aankhe,
Mathe Pe Bhasm Lagayi,
Boli Bhole Se Ja Ke,
Kyun Jaoon Auro Ke Khazana,
Bhaara Mere Ghar Mein,
Tumse Hi Hai Shrungar Mera,
Tum Hi Ho Mere Gahne.
Bhasm Ki Mahima Bhaari,
Rame Bhole Ke Ang Mein,
Laga Lo Iska Tika,
Rahege Bhole Sang Mein,
‘Sonu’ Bhole Swayam Base Hai,
Iske Kan Kan Mein,
Mujhko Bhi Ghadwa Do Mere Swami,
Sone Ke Gahne.
Ek Din Maiya Parvati,
Bhole Se Lagi Kehne,
Mujhko Bhi Ghadwa Do Mere Swami,
Sone Ke Gahne.
Credit Details :
Song: Ek Din Maiya Parvati Bhole Se Lagi Kahne
Singer: Vishal Rajgaria
Lyricist: Sunil Gupta
अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।