Current Date: 11 Jan, 2025

Tujhe Pita Kahun Ya Mata

- Vijay Soni


Tujhe Pita Kahoon Ya Mata,
Tujhe Mitra Kahoon Ya Bhrata,
Sau Sau Baar Naman Karta Hoon,
Charno Mein Jhuka Kar Matha,
Tujhe Pita Kahoon Ya Mata.

Om Hari Om Hari Om Hari Om,
Om Hari Om Hari Om Hari Om.

Jo Bhi Aaya Dar Par Tere,
Tune Baat Na Uski Taali,
Prabhu Teri Kudrat Se Hi,
Ek Haath Se Baj Jaye Taali,
Jo Tere Dar Ka Bhikhari,
Wo Kuch Na Kuch To Pata,
Sau Sau Baar Naman Karta Hoon,
Charno Mein Jhuka Kar Matha,
Tujhe Pita Kahoon Ya Mata.

Om Hari Om Hari Om Hari Om,
Om Hari Om Hari Om Hari Om.

Jis Bhakt Ne Tujhe Pukara,
Tu Aake Hriday Mein Samaya,
Kabhi Bhakt Ki Karuna Sun Kar,
Tune Uska Kasht Mitaya,
Kan Kan Mein Tu Hi Basa Hai,
Par Kahi Nazar Nahi Aata,
Sau Sau Baar Naman Karta Hoon,
Charno Mein Jhuka Kar Matha,
Tujhe Pita Kahoon Ya Mata.

Om Hari Om Hari Om Hari Om,
Om Hari Om Hari Om Hari Om.

Hai Dhara Paap Se Bojhal,
Tab Hamne Tujhko Pukara,
Ab Dhiraj Dol Raha Hai,
Tu De De Humein Sahara,
Bin Tere Is Duniya Mein,
Humein Koi Nazar Nahi Aata,
Sau Sau Baar Naman Karta Hoon,
Charno Mein Jhuka Kar Matha,
Tujhe Pita Kahoon Ya Mata.

Om Hari Om Hari Om Hari Om,
Om Hari Om Hari Om Hari Om.

Tujhe Pita Kahoon Ya Mata,
Tujhe Mitra Kahoon Ya Bhrata,
Sau Sau Baar Naman Karta Hoon,
Charno Mein Jhuka Kar Matha,
Tujhe Pita Kahoon Ya Mata.

Om Hari Om Hari Om Hari Om,
Om Hari Om Hari Om Hari Om.

Credit Details :

Song: Tujhe Pita Kahun Ya Mata
Singer: Vijay Soni
Music: Traditional
Lyrics: Vinod Agarwal

अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।