Jis Kaandhe Kawad Laoon,
Main Aapke Liye,
Woh Kaandha Kaam Aa Jaaye,
Maa Aur Baap Ke Liye,
Woh Kaandha Kaam Aa Jaaye,
Maa Aur Baap Ke Liye.
Jab Kaandhe Pe Main Kawad Uthaoon,
Usse Main Jitna Punya Kamaoon,
Usko Rakhoo Main Bachake Aashirwad Ke Liye,
Woh Kaandha Kaam Aa Jaaye,
Maa Aur Baap Ke Liye,
Woh Kaandha Kaam Aa Jaaye,
Maa Aur Baap Ke Liye.
In Kaandhon Mein Aisi Tu Shakti Bhar De,
Aakhri Samay Mein Unki Seva Kar De,
Kaam Mushkil Ye Nahi Hai Bhole Nath Ke Liye,
Woh Kaandha Kaam Aa Jaaye,
Maa Aur Baap Ke Liye,
Woh Kaandha Kaam Aa Jaaye,
Maa Aur Baap Ke Liye.
Kawad Ho Ya Arthi Bhole Aaye Tere Paas Ho,
‘Banwari’ Tere Upar Itna To Vishwas Ho,
Tera Kawadiya Na Tarse Sar Pe Haath Ke Liye,
Woh Kaandha Kaam Aa Jaaye,
Maa Aur Baap Ke Liye,
Woh Kaandha Kaam Aa Jaaye,
Maa Aur Baap Ke Liye.
Jis Kaandhe Kawad Laoon,
Main Aapke Liye,
Woh Kaandha Kaam Aa Jaaye,
Maa Aur Baap Ke Liye,
Woh Kaandha Kaam Aa Jaaye,
Maa Aur Baap Ke Liye.
Credit Details :
Song: Jis Kandhe Kawar Laaun Mein Aapke Liye
Singer: Saurabh-Madhukar
Lyricist: Jai Shankar Choudhary
अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।