Current Date: 10 Jan, 2025

Humein Dhan Daulat Ki Chah Nahi

- Saurabh-Madhukar


Humein Dhan Ki Daulat Ki Chah Nahi,
Hum Shiv Ke Chele Hai,
Hum Shiv Ke Chele Hai,
Apne Malik Bhole Hai,
Humein Duniya Ki Parwah Nahi,
Hum Shiv Ke Chele Hai.

Bhasm Ramaaen Tan Par,
Shivshambhu To Van Van Ghoome,
Aughad Roop Sajakar Apni,
Masti Mein Wo Jhoome,
Laga De Aasan Jahan,
Wahan Lag Jaate Mela Hai,
Humein Dhan Ki Daulat Ki Chah Nahi,
Hum Shiv Ke Chele Hai.

Mahadev Ke Naam Ki Humko,
Aisi Lagan Lagi Hai,
Har Har Namah Shivay Ki Mann Mein,
Ab To Alakh Jagi Hai,
Shiv Rehte Mere Saath Yahi,
Hum Nahi Akele Hai,
Humein Dhan Ki Daulat Ki Chah Nahi,
Hum Shiv Ke Chele Hai.

Swarg Nahi Baikunth Nahi,
Na Moksh Ki Humko Asha,
‘Urmil’ To Bas Shiv Shambhu Ke,
Darshan Ka Hai Pyaasa,
Shiv Ke Siva Koi Raah Nahi,
Yahan Bade Jhamele Hai,
Humein Dhan Ki Daulat Ki Chah Nahi,
Hum Shiv Ke Chele Hai.

Humein Dhan Ki Daulat Ki Chah Nahi,
Hum Shiv Ke Chele Hai,
Hum Shiv Ke Chele Hai,
Apne Malik Bhole Hai,
Humein Duniya Ki Parwah Nahi,
Hum Shiv Ke Chele Hai.

Credit Details :

Song: Humein Dhan Daulat Ki Chah Nahi
Singer: Saurabh-Madhukar
Lyricist: Pradeep Urmil Ji
Music Director: Shashikant Chaubey

अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।