Current Date: 26 Jan, 2025

Dhan Dhan Bholanath Bant Diyo

- Prembhushan Ji Maharaj


Dhan Dhan Bhole Nath Baant Diyo,
Teen Lok Ek Pal Bhar Mein,
Aise Deen Dayalu More Baba,
Bhare Khajana Pal Bhar Mein,
Aise Deen Dayalu More Baba,
Bhare Khajana Pal Bhar Mein.

Pratham Ved Brahma Ko De Diyo,
Bane Ved Ke Adhikari,
Vishnu Ko Diya Chakra Sudarshan,
Lakshmi Si Sundar Naari,
Indra Ko Diya Kamdhenu Aur,
Airavat Sa Balkari,
Kuber Ko Saari Vasudha Ka,
Bana Diya Yun Adhikari,
Aap Bhajan Mein Mast Raho Aur,
Aap Bhajan Mein Mast Raho Aur,
Bhang Piyo Nit Khappar Mein,
Aise Deen Dayalu More Baba,
Bhare Khajana Pal Bhar Mein,
Dhan Dhan Bhole Nath Baant Diyo,
Teen Lok Ek Pal Bhar Mein,
Aise Deen Dayalu More Baba,
Bhare Khajana Pal Bhar Mein.

Amrit To Devon Ko De Diyo,
Aap Halahal Paan Kiya,
Brahm Gyaan De Diyo Usi Ko,
Jisne Aapka Dhyaan Kiya,
Bhagirath Ko Ganga De Di,
Kalyug Mein Snaan Kiya,
Bade-Bade Paapiyon Ko Taara,
Pal Bhar Mein Kalyan Kiya,
Apne Paas Mein Vastr Na Rakhte,
Apne Paas Mein Vastr Na Rakhte,
Mast Rahe Baaghambar Mein,
Aise Deen Dayalu More Baba,
Bhare Khajana Pal Bhar Mein,
Dhan Dhan Bhole Nath Baant Diyo,
Teen Lok Ek Pal Bhar Mein,
Aise Deen Dayalu More Baba,
Bhare Khajana Pal Bhar Mein.

Veena To Narad Ko De Diyo,
Hari Bhajan Ka Raag Diya,
Brahman Ko Diya Karma Kaand Aur,
Sannyasi Ko Tyag Diya,
Aur Ravan Ko Lanka De Diyo,
Bish Bhujha Das Sheesh Diye,
Ramchandra Ko Dhanush Baan,
Tumhi Ne To Jagdish Diye,
Apne Paas Nahi Kuch Rakhte,
Apne Paas Nahi Kuch Rakhte,
Mast Rahe Apne Ghar Mein,
Aise Deen Dayalu More Baba,
Bhare Khajana Pal Bhar Mein,
Dhan Dhan Bhole Nath Baant Diyo,
Teen Lok Ek Pal Bhar Mein,
Aise Deen Dayalu More Baba,
Bhare Khajana Pal Bhar Mein.

Dhan Dhan Bhole Nath Baant Diyo,
Teen Lok Ek Pal Bhar Mein,
Aise Deen Dayalu More Baba,
Bhare Khajana Pal Bhar Mein,
Aise Deen Dayalu More Baba,
Bhare Khajana Pal Bhar Mein.

Credit Details :

Song: Dhan Dhan Bholanath Bant Diyo
Singer: Prembhushan Ji Maharaj
Lyrics: Traditional

अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।