Unche Unche Mandir Tere, Uncha Tera Darbar.
Kailash Wale Shivji Hum Karte Hain Tujhe Pranam.
Nagar Mein Yogi Aaya, Bhed Koi Samajh Na Paya.
Ajab Hai Teri Maya, Gajab Ka Khel Rachaya.
Sabse Bada Hai Tera Naam, Tera Naam
Bhole Nath, Bhole Nath, Bhole Nath.
Ang Vibhut, Gale Rund Mala, Sheshnag Lipatayo,
Banko Tilak Bhaal Par Sohe Nand Ghar Alakh Jagayo.
Nagar Mein Yogi Aaya, Bhed Koi Samajh Na Paya…
Yogi Re Yogi Aaya, Kailasho Se Yogi Aaya,
Ang Vibhut, Gale Rund Mala, Nand Dwar Damru Khadkaya.
Sabse Bada Hai Tera Naam, Tera Naam
Bhole Nath, Bhole Nath, Bhole Nath.
Le Bhiksha Nikli Nandarani, Kanchan Thaal Dharayo,
Bhiksha Lekar Jao Kahe Mero Laal Darayo…
Nagar Mein Yogi Aaya, Bhed Koi Samajh Na Paya…
Na Chahiye Teri Daulat Duniya, Na Kanchan Na Maya,
Tere Laal Ka Darsh Karade Main Darshan Ko Aaya.
Nagar Mein Yogi Aaya, Bhed Koi Samajh Na Paya…
Panch Bhor Mein Parikrama Karke, Shingi Naad Bajayo,
Surdas Balihari Kanhaiya Jug Jug Jiye Tere Jayo…
Nagar Mein Yogi Aaya, Bhed Koi Samajh Na Paya…
Credit Details :
Song: Nagar Me Jogi Aaya
Singer: Manoj Sharma Gwalior
Lyrics: Traditional
Music: Lovely Sharma
अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।