Current Date: 07 Jan, 2025

Nagar Main Jogi Aaya

- Manoj Sharma Gwalior


Unche Unche Mandir Tere, Uncha Tera Darbar
Kailash Wale Shivji Hum Karte Hain Tujhe Pranam

Nagar Mein Yogi Aaya, Bhed Koi Samajh Na Paya
Ajab Hai Teri Maya, Gajab Ka Khel Rachaya
Sabse Bada Hai Tera Naam, Tera Naam
Bhole Nath, Bholenath, Bhole Nath

Ang Vibhut, Gale Rund Mala, Sheshnag Lipatayo
Banko Tilak Bhaal Par Sohe Nand Ghar Alakh Jagayo
Nagar Mein Yogi Aaya, Bhed Koi Samajh Na Paya

Yogi Re Yogi Aaya, Kailasho Se Yogi Aaya
Ang Vibhut, Gale Rund Mala, Nand Dwar Damru Khadkaya
Sabse Bada Hai Tera Naam, Tera Naam
Bhole Nath, Bholenath, Bhole Nath

Le Bhiksha Nikli Nandirani, Kanchan Thaal Dharayo
Bhiksha Lekar Jao Kahe Mero Laal Darayo
Nagar Mein Yogi Aaya, Bhed Koi Samajh Na Paya

Na Chahiye Teri Daulat Duniya, Na Kanchan Na Maya
Tere Laal Ka Darshan Karade Main Darshan Ko Aaya
Nagar Mein Yogi Aaya, Bhed Koi Samajh Na Paya

Panch Bhor Mein Parikrama Karke, Shingi Naad Bajayo
Surdas Balihari Kanhaiya Jug Jug Jiye Tere Jayo
Nagar Mein Yogi Aaya, Bhed Koi Samajh Na Paya

Credit Details :

Song: Nagar Main Jogi Aaya
Singer: Manoj Sharma Gwalior
Lyrics: Traditional
Music: Lovely Sharma

अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।