Hai Dhanya Teri Maya Jag Mein,
O Duniya Ke Rakhwale,
Shiv Shankar Damru Wale.
Namami Shankar, Namami Har Har,
Namami Deva Maheshwara.
Namami Parabrahma Parameshwara,
Namami Bhole Digambara.
Hai Dhanya Teri Maya Jag Mein,
O Duniya Ke Rakhwale.
Shiv Shankar Damru Wale,
Shiv Shankar Bhole Bhaale.
Jo Dhyan Tera Dhar Le Man Mein,
Wo Jag Se Mukti Paye.
Bhav Sagar Se Uski Naiya,
Tu Pal Mein Paar Lagaye.
Sankat Mein Bhakto Ko Badh Kar,
Tu Bhole Aap Sambhaale.
Shiv Shankar Damru Wale,
Shiv Shankar Bhole Bhaale.
Hai Koi Nahi Is Duniya Mein,
Tere Jaisa Vardani.
Nitt Sumirin Karte Naam Tera,
Sab Sant Rishi Aur Gyani.
Na Jaane Kis Par Khush Ho Kar,
Tu Kya Se Kya De Daale.
Shiv Shankar Damru Wale,
Shiv Shankar Bhole Bhaale.
Trilok Ke Swami Ho Kar Bhi,
Kya Aghad Roop Banaye.
Kar Mein Damru Trishul Liye,
Aur Naag Gale Liptaaye.
Tum Tyag Ke Amrit, Peete Ho,
Nit Prem Se Vish Ke Pyaale.
Shiv Shankar Damru Wale,
Shiv Shankar Bhole Bhaale.
Tap Khandit Karne Kam Dev,
Jab Indra Lok Se Aaya.
Aur Saadh Ke Apna Kaam Baan,
Tum Par Wo Moorakh Chalaaya.
Tab Khole Teesra Nayan,
Bhasm Usko Pal Mein Kar Daale.
Shiv Shankar Damru Wale,
Shiv Shankar Bhole Bhaale.
Jab Chali Kalika Krodhit Ho,
Khappar Aur Khadag Uthaaye.
Tab Haahakar Macha Jag Mein,
Sab Sur Aur Nar Ghabraaye.
Tum Beech Dagar Mein So Kar,
Shakti Devi Ki Har Daale.
Shiv Shankar Damru Wale,
Shiv Shankar Bhole Bhaale.
Ab Drishti Daya Ki Bhakto Par,
He Damru-Dhar Kar Dena.
Bhakto Ki Jhooli,
Gauri Shankar Bhar Dena.
Apna Hi Sevak Jaan,
Hume Bhi Charno Mein Apnaale.
Shiv Shankar Damru Wale,
Shiv Shankar Bhole Bhaale.
Credit Details :
Song: Shiv Shankar Damru Wale
Singer: Lakhbir Singh Lakkha
Music: Sohan Loal
Lyricist: Ram Lal Sharma
अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।