Doha
Bhanwar Mein Naav Padi Hai, Bich Majhdhaar Hoon Main,
Sahaara Deejiye Aakar, Ki Ab Lachaara Hoon Main.
Bhole Girija Pati Hoon Tumhari Sharan,
Bhole Girija Pati Hoon Tumhari Sharan,
He Kailash Pati Hoon Tumhari Sharan.
Suna Hai Aapka Jisne Kabhi Pukaar Kiya,
To Uska Aapne Sankat Se Hai Uddhaar Kiya,
Bhakt Hoon Aapka, Main Bhi To Ae Mere Bhole,
Aasara Aapka Humne Bhi Ae Sarkaar Kiya,
Hoon Tumhari Sharan, Sharan Tumhari Sharan.
Doha
Sadaa Darbaar Mein Ek Bhi Bhid Bhakto Ki Lagi Dekhi,
Har Ek Bhakt Ki Jholi Aapke Dar Pe Bhole Bhari Dekhi,
Koi Lauta Nahi Khaali, Tumhare Dwaar Pe Aake,
Niputri Baanjh Ki Humne Yahi, Godi Hari Dekhi.
Yahi Hai Prarthana Tumse Meri Bhole Shankar,
Daya Ki Drishti Zara Daal Do Bhole Mujh Par,
Tumhare Dwaar Pe Bhole Tumhari Chokhat Pe,
Jhuka Diya Hai Tere Bhakt Ne Ye Keh Kehkar Sar,
Hoon Tumhari Sharan, Sharan Tumhari Sharan.
Main To Nadaan Hoon Duniya Se Bhi Anjaana Hoon,
Par Ye Sach Hai Ki Bhole Main Tera Deewana Hoon,
Thokare Duniya Ki Mere Bhole Main Bahut Khaya Hoon,
Hokar Lachaara Main Tere Dar Pe Aaya Hoon,
Hoon Tumhari Sharan, Sharan Tumhari Sharan.
Meri Jholi Charan Ke Dhool Se Ek Baar Bhar Deeje,
Mehr Ki Ek Nazar Sarkaar Lakhkha Pe Kar Deeje,
Saran Dete Ho Sabko Meri Khatir Kyon Hui Deri,
Tumhare Haath Mein Hai Prabhu Ab Laaj Meri,
Hoon Tumhari Sharan, Sharan Tumhari Sharan.
Tum Jo Chaahoge To Taqdeer Palat Jaayegi,
Dukh Sankat Sabhi Ek Pal Mein Hi Hatt Jaayegi,
Mujhko Vishwas Hai, Aur Dil Mein Yakeen Hai Mujhko,
Chhodkar Aapki Chokhat Ko Agar Jaunga,
Apne Charano Mein Pada Rehne Do Mujhko Bhole,
Gar Charan Chhute To Bemaut Hi Mar Jaunga,
Hoon Tumhari Sharan, Sharan Tumhari Sharan.
Tumhare Naam Ke Pyaale Ko Pi Raha Hoon Main,
Kripa Se Aapki Duniya Mein Jee Raha Hoon Main,
Daya Kar Mere Bhole Ye ‘Sharma’ Ki Duhai Hai,
Meri Bigdi Bana De, Tumne Laakhon Ki Banaai Hai,
Hoon Tumhari Sharan, Sharan Tumhari Sharan.
Bhole Girija Pati Hoon Tumhari Sharan,
Bhole Girija Pati Hoon Tumhari Sharan,
He Kailash Pati Hoon Tumhari Sharan.
Credit Details :
Song: Bhole Girja Pati Shiv
Singer: Lakhbir Singh Lakkha
Composer: Durga-Natraj
Lyricist: Ram Lal Sharma
अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।