Shiv Sanyasi Se Marghat Vasi Se,
Maiya Karungi Mai To Byah,
Main Shiv Ko Dhyaungi,
Unhi Ko Paungi.
Shiv Sang Karungi Mai To Byah,
Haan Shiv Sang Mai To Karungi Byah,
Shiv Sanyasi Se Marghat Vasi Se,
Maiya Karungi Mai To Byah.
(Maina Rani Aur Parvati Samvad)
Maina Ne Samjhaya,
Woh Hai Shamshan Ka Vasi,
Tu Mahalon Ki Rani,
Tu Kaise Banegi Dasi.
Gaura Tu Sochle Sochle,
Kaise Karegi Byah,
Shiv Sanyasi Se Marghat Vasi Se,
Maiya Karungi Mai To Byah.
Baba Himachal Dekho,
Sab Rishiyo Ko Le Aaye,
Sabne Milkar Dekho,
Phir Gaura Ko Samjhaye.
Aughad Hai Yogi Hai Yogi Hai,
Kaise Hoga Nibah,
Shiv Sanyasi Se Marghat Vasi Se,
Maiya Karungi Mai To Byah.
Na Maanee Thi Gaura,
Woh Shiv Ke Dhyan Mein Laagi,
Shiv Ki Yaad Mein Soi,
Woh Shiv Ki Yaad Mein Jaagi.
Janam Janam Ka Saath Hai Saath Hai,
Janmo Ka Rishta,
Shiv Sanyasi Se Marghat Vasi Se,
Maiya Karungi Mai To Byah.
Credit Details :
Song: Shiv Sanyasi Se Marghat Wasi Se
Lyrics: Chandan Tilak
Singer: Rakesh Kala
Music: M.S.Rawat
अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।