Doha
Liya Naam Jisne Bhi Shivji Ka Man Se,
Use Bhole Shankar Ne Apna Banaya.
Khule Us Pe Sab Dwaar Shiv Ki Daya Ke,
Jo Shraddha Se Bhole Ke Mandir Mein Aaya.
Har Har Mahadev Ki Jai Ho,
Shankar Shiv Kailashpati Ki Jai Ho.
Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto,
Shiv Ji Ke Charno Mein Sar Ko Jhukaaye.
Karen Apne Tan Man Ko Ganga Sa Pavan,
Jape Naam Shiv Ka Bhajan Inke Gaaye.
Har Har Mahadev Ki Jai Ho.
Yeh Sansar Jhoothi Maya Ka Bandhan,
Shivalay Mein Maarg Hai Mukti Ka Bhakto.
Mahadev Ka Naam Lene Se Har Din,
Milega Humein Daan Shakti Ka Bhakto.
Mitti Mein Mitti Ki Kaaya Milegi,
Chalo Aatma Ko To Kundan Banaaye.
Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto.
Kahin Bhi Nahi Ant Uski Daya Ka,
Karen Vandana Us Dayalu Pita Ki.
Humein Bhi Mile Chhaav Uski Kripa Ki,
Humein Bhi Mile Bhikh Uski Daya Ki.
Lagakar Samadhi Karen Shiv Ka Smaran,
Yun Soye Hue Bhagya Apne Jagaaye.
Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto.
Karen Sab Ka Kalyan Kalyankari,
Bhare Sabke Bhandar Trinetra Dhaari.
Koi Usko Jag Mein Kami Na Rahegi,
Banega Jo Tan-Man Se Shiv Ka Pujari.
Kare Naam Lekar Safal Apna Jeevan,
Yeh Anmol Jeevan Yunhi Na Gawaye.
Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto.
Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto,
Shiv Ji Ke Charno Mein Sar Ko Jhukaaye.
Karen Apne Tan Man Ko Ganga Sa Pavan,
Jape Naam Shiv Ka Bhajan Inke Gaaye.
Credit Details :
Song: Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakton
Singer: Anuradha Paudwal
Music Director: Dilip Sen-Sameer Sen
Lyricist: Mahendra Dehlvi
अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।