Shivratri Ka Pavan,
Tyohar Jab Aata Hai,
Yeh Saara Jag Shiv Ka,
Mandir Ban Jaata Hai,
Har Koi Shiv Shiv Gata Hai,
Dhyan Bhole Ka Lagata Hai.
Shiv Bhakt Har Ek Mandir,
Phoolon Se Sajate Hai,
Ga Ga Ke Bhajan Shiv Ke,
Yeh Raat Bitaate Hai,
Us Jagat Pita Shiv Se,
Sabka Hi Nata Hai,
Yeh Saara Jag Shiv Ka,
Mandir Ban Jaata Hai,
Har Koi Shiv Shiv Gata Hai,
Dhyan Bhole Ka Lagata Hai.
Shiv Pindi Ki Pooja,
Sab Prem Se Karte Hai,
Shri Charno Pe Shiv Ke,
Sab Maatha Dharte Hai,
Koi Laaye Gangaajal,
Koi Pushp Chadhata Hai,
Yeh Saara Jag Shiv Ka,
Mandir Ban Jaata Hai,
Har Koi Shiv Shiv Gata Hai,
Dhyan Bhole Ka Lagata Hai.
Shivratri Ki Mahima To,
Vedon Ne Bhi Gaayi Hai,
Is Din Baraat Shiv Ki,
Gaura Ghar Aayi Hai,
Yeh Daas 'Pawan' Sachchi,
Baat Batata Hai,
Yeh Saara Jag Shiv Ka,
Mandir Ban Jaata Hai,
Har Koi Shiv Shiv Gata Hai,
Dhyan Bhole Ka Lagata Hai.
Shivratri Ka Pavan,
Tyohar Jab Aata Hai,
Yeh Saara Jag Shiv Ka,
Mandir Ban Jaata Hai,
Har Koi Shiv Shiv Gata Hai,
Dhyan Bhole Ka Lagata Hai.
Credit Details :
Song: Shivratri Ka Pawan Tyohar
Singer: Anuradha Paudwal & Pawan Sharma
Music: Das Pawan Sharma
Lyrics: Ravi Chopra
अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।