Ek Din Maiya Parvati Bhole Se Lagi Kehne

- Vishal Rajgaria


 

Ek Din Maiya Parvati,
Bhole Se Lagi Kehne,
Mujhko Bhi Ghadwa Do Mere Swami,
Sone Ke Gahne.

Maine Lakshmi Ko Dekha,
Maine Indrani Dekhi,
Teeno Loko Mein Jaakar,
Rani Maharani Dekhi,
Ek Se Badhkar Ek Sabhi Ne,
Abhushan Pehne,
Mujhko Bhi Ghadwa Do Mere Swami,
Sone Ke Gahne.

Baat Sunkar Gaura Ki,
Bhole Ne Ye Samjhaya,
Ek Aghad Daani Ke,
Paas Na Hoti Maya,
Jo Jaise Rehte Hain Unko,
Vaise Do Rehne,
Mujhko Bhi Ghadwa Do Mere Swami,
Sone Ke Gahne.

Chutki Bhar Bhasmi Di Aur,
Bole Kuber Ke Jaana,
Wahan Se Iske Jitna,
Tol Ke Sona Laana,
Chutki Bhar Mein Kya Ho,
Gaura Soch Rahi Man Mein,
Mujhko Bhi Ghadwa Do Mere Swami,
Sone Ke Gahne.

Ek Palle Par Sona,
Ek Par Bhasmi Daali,
Sona Rakh Daala Saara,
Palla Bhasmi Ka Bhaari,
Hua Khazana Khaali,
Kuch Na Paas Bacha Dharne,
Mujhko Bhi Ghadwa Do Mere Swami,
Sone Ke Gahne.

Dek Bhasmi Ki Maya,
Khuli Gaura Ki Aankhein,
Mathe Pe Bhasm Lagai,
Boli Bhole Se Ja Ke,
Kyon Jaoon Auron Ke Khazana,
Bhara Mere Ghar Mein,
Tumse Hi Hai Shringar Mera,
Tum Hi Ho Mere Gahne.

Bhasm Ki Mahima Bhaari,
Rame Bhole Ke Ang Mein,
Laga Lo Iska Teeka,
Rahenge Bhole Sang Mein,
'Sonu' Bhole Swayam Base Hain,
Iske Kan Kan Mein,
Mujhko Bhi Ghadwa Do Mere Swami,
Sone Ke Gahne.

Ek Din Maiya Parvati,
Bhole Se Lagi Kehne,
Mujhko Bhi Ghadwa Do Mere Swami,
Sone Ke Gahne.

Credit Details :

Shiv Bhajan: Ek Din Maiya Parvati Bhole Se Lagi Kahne
Singer: Vishal Rajgaria
Lyricist: Sunil Gupta (Sonu)
Music Label: Sur Saurabh Industries

рдЕрдЧрд░ рдЖрдкрдХреЛ рдпрд╣ рднрдЬрди рдЕрдЪреНрдЫрд╛ рд▓рдЧрд╛ рд╣реЛ рддреЛ рдХреГрдкрдпрд╛ рдЗрд╕реЗ рдЕрдиреНрдп рд▓реЛрдЧреЛ рддрдХ рд╕рд╛рдЭрд╛ рдХрд░реЗрдВред