Current Date: 21 Nov, 2024

Yehi Raat Antim Yehi Raat Bhaari

- Ravindra Jain, Arun Dangle & Chandrani Mukherjee


Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhari
Bas Ek Raat Ki Kahani Hai Sari
Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhari

Nahi Bandhu Bandhav Na Koi Sahayak
Akela Hai Lanka Me Lanka Ka Nayak
Sabhi Ratna Bahumulya Rad Me Gavaye
Lage Ghav Aise Ki Bhar Bhi Na Paaye
Dashanan Ishi Soch Me Jagata Hai
Ye Jo Ho Raha Hai Usaka Paridam Kya Hai
Ye Baaji Abhi Tak Na Jeeti Na Hari

Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhari
Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhari

Ho Bhagavaan Manav To Samjhega Itana
Ki Manav Ke Jeevan Me Sangharsh Kitana
Vijaya Antatah Dharm Veero Ki Hoti
Par Itana Sahaj Bhi Nahi Hai Ye Moti
Bahut Ho Chuki Youdh Me Byarth Hani
Pahuch Jaye Paridaam Tak Ye Kahani
Vachan Purd Ho Devata Hum Sukhari

Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhari
Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhari

Samar Me Sada Ek Hi Paksh Jeeta
Jay Hogi Mandodari Ya To Sita
Bishya Maag Se Usaki Lali Mitegi
Koi Ek Hi Kal Suhagan Rahegi
Bhala Dharama Se Paap Kab Tak Ladega
Ya Jhukana Padega Ya Mitana Padega
Bicharo Me Mandodari Hai Bechari

Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhari
Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhari

Ye Ek Raat Mano Yugo Se Badi Hai
Ye Sita Ke Dheeraj Ki Antim Ghadi Hai
Pratiksha Ka Bish Aur Kitana Piyegi
Bina Prad Ke Deh Kaise Jiyegi
Kahe Ram Ram Ab Ram Aa To Ram Bhi Jaao
Dikhayo Darash Ab To Na Itana Rulao
Ki Ro Ro Ke Mar Jaaye Sita Tumhari

Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhari
Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhari

Bas Ek Raat Ki Ab Kahani Hai Sari

Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhari
Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhari

Credit Details :

Song: Yehi Raat Antim Yehi Raat Bhaari
Singer: Ravindra Jain, Arun Dangle and Chandrani Mukherjee
Lyrics: Ravindra Jain
Music: Ravindra Jain

अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।