Parishram Kare Koi Kitna Bhi Lekin,
Kripa Ke Bina Kaam Chalta Nahin ….
Nirasha Nisha Nasht Hoti Na Tab Tak,
Daya Bhanu Jab Tak Nikalta Nahin…
Damit Vasanaye Amit Roop Le Jab,
Antah Karan Mein Upadrav Machaati,
Tab Fir Kripasindhu Shri Ram Ji Ke
Anugrah Bina Kaam Chalta Nahin…..
Mragvari Jaise Asat Is Jagat Se
Purusharth Ke Bal Pe Bachna Hai Mushkil
Shri Hari Ke Sevak Jo Chhal Chhod Bante
Unhen Fir Ye Sansar Chhalta Nahin Hai…..
Sadguru Shubhashish Pane Se Pahale
Jalta Nahin Gyan Deepak Bhi Ghat Mein
Bahati Na Tab Tak Samarpan Ki Sarita
Ahankar Jab Tak Ki Galta Nahin…..
“rajeshwaranand” Anand Apna
Paakar Hi Lagta Hai Jag Jaal Sapna
Tan Badle Kitne Bhi Par Prabhu Bhajan Bin
Kabhi Jan Ka Jeevan Badalta Nahin….
Credit Details :
Song: Kripa Ke Bina Kaam Banta Nahi Hai
Singer: Pujya Rajan Jee
Lyrics: Traditional
अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।