Ham Van Ke Vasi
Nagar Jagane Aaye
Van Van Dole Kuch Na Bole
Sita Janak Dulari
Phool Se Komal Man Par Sahati
Dukh Parvat Se Bhari
Dharma Nagar Ke Vasi Kaise
Ho Gaye Atyachari
Raj Dharma Ke Karan Loot Gayi
Ek Sati Sam Nari
Ham Van Ke Vasi
Nagar Jagane Aaye
Sita Ko Uska Khoya
Mata Ko Uska Khoya
Samman Dilane Aaye
Ham Van Ke Vasi
Nagar Jagane Aaye
Janak Nandini Ram Priya
Wo Raghukul Ki Maharani
Tumhare Apvado Ke Karan
Chhod Gayi Rajdhani
Mahasati Bhagwati Siya
Tumse Na Gayi Pehchani
Tumne Mamta Ki Aankhon Mein
Bhar Diya Pir Ka Pani
Bhar Diya Pir Ka Pani
Us Dukhiya Ke Aansu Lekar
Us Dukhiya Ke Aansu Lekar
Aag Lagane Aaye
Ham Van Ke Vasi
Nagar Jagane Aaye
Sita Ko Hi Nahin
Ram Ko Bhi Darun Dukh Dine
Niradhar Baaton Par Tumne
Hridayo Ke Sukh Chine
Pativrat Dharm Nibhane Mein
Sita Ka Nahin Udaharan
Kyon Nirdosh Ko Dosh Diya
Vanvas Hua Kis Karan
Vanvas Hua Kis Karan
Nyayashil Raja Se Uska
Nyayashil Raja Se Uska
Nyay Karane Aaye
Ham Van Ke Vasi
Nagar Jagane Aaye
Ham Van Ke Vasi
Nagar Jagane Aaye
Sita Ko Uska Khoya
Mata Ko Uska Khoya
Samman Dilane Aaye
Ham Van Ke Vasi
Nagar Jagane Aaye
Credit Details :
Song: Hum Van Ke Vasi Nagar Jagane Aaye
Singer: Hemalatha and Kavitha Krishnamurthy
Lyrics: Ravindra Jain
Music: Ravindra Jain
अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।