Current Date: 23 Oct, 2024

Shree Lakshmi Chalisa

- Gaurav Bangia


Dohā

Matu Lakshmi Kari Kripa Karo Hriday Me Vaas.  
Manokamana Siddh Karo Puravahu Meri Aas.  
Sindhu Suta Vishnupriye Nat Shir Barambar.  
Riddhi Siddhi Mangalprade Nat Shir Barambar.

Soraṭhā

Yahi Mor Ardaas, Haath Jod Vinti Karun.  
Sab Vidhi Karau Suvaas, Jai Janani Jagadambika.

Chaupāī

Sindhu Suta Main Sumiraun Tohi.  
Gyaan Buddhi Vidya Do Mohi.  
Tum Samaan Nahi Koi Upkaari.  
Sab Vidhi Purbahu Aas Hamari.

Jai Jai Jagat Janani Jagadamba.  
Sabke Tumhi Ho Svalamba.  
Tum Hi Ho Ghat Ghat Ke Vasi.  
Viniti Yahi Hamari Khaasi.

Jag Janani Jai Sindhu Kumari.  
Deenan Ki Tum Ho Hitkaari.  
Vinavau Nitya Tumhi Maharani.  
Kripa Karo Jag Janani Bhavani.

Kehi Vidhi Stuti Karau Tihari.  
Sudhi Lijiye Apraadh Bisari.  
Kripa Drishti Chitvo Mam Ori.  
Jagat Janani Viniti Sun Mori.

Gyaan Buddhi Jai Sukha Ki Daata.  
Sankat Haro Hamari Mata.  
Kshir Sindhu Jab Vishnu Mathayo.  
Chaudah Ratna Sindhu Me Payo.

Chaudah Ratna Me Tum Sukharasi.  
Seva Kiyo Prabhuhin Bani Daasi.  
Jab Jab Janm Jahan Prabhu Leenha.  
Roop Badal Tahan Seva Kihi.

Svayam Vishnu Jab Nar Tanu Dhara.  
Leenhe Avadhpuri Avataar.  
Tab Tum Prakat Janakpur Mahin.  
Seva Kiyo Hriday Pulakahin.

Apnaayo Tohi Antaryami.  
Vishwa Vidit Tribhuvan Ki Swami.  
Tum Sab Prabal Shakti Nahi Aani.  
Kahan Tak Mahima Kahau Bakhaani.

Man Kram Vachan Karai Sevakāī.  
Man Icchit Vānchhit Phal Pāī.  
Taji Chhal Kapṭ Aur Chaturāī.  
Pujhahi Vividh Bhānti Man Lāī.

Aur Haal Main Kahau Bujhai.  
Jo Yah Paat Kare Man Lai.  
Tako Koi Kasht Na Ho.  
Man Icchit Phal Pavain Phal Soī.

Trahi-Trahi Jai Dukh Nivaarini.  
Trividha Taap Bhav Bandhan Haari.  
Jo Yah Chalisā Padhe Aur Padhaave.  
Ise Dhyan Lagākar Sune Sunāve.

Tako Koi Na Rog Sataave.  
Putra Aadi Dhan Sampatti Paave.  
Putra Heen Aur Sampatti Heena.  
Andha Badhir Koodi Ati Deena.

Vipra Bolay Kai Paat Karave.  
Shanka Dil Me Kabhi Na Lave.  
Paat Karave Din Chalisā.  
Ta Par Kripa Karen Gaurisa.

Sukh Sampatti Bahut Si Paave.  
Kami Nahi Kahu Ki Aave.  
Barah Maas Karai Jo Puja.  
Tehi Sam Dhanya Aur Nahi Dooja.

Pratidin Paat Karai Man Mahin.  
Un Sam Koi Jag Me Nahi.  
Bahu Vidhi Kya Main Karau Badaai.  
Lei Pariksha Dhyan Lagai.

Kari Vishwasa Karen Vrat Nema.  
Hoy Siddh Upajai Ur Prema.  
Jai Jai Jai Lakshmi Maharani.  
Sab Me Vyapit Jo Gun Khani.

Tumhara Tej Prabal Jag Mahin.  
Tum Sam Kou Dayal Kahun Nahi.  
Mohi Anath Ki Sudhi Ab Lijiye.  
Sankat Kaati Bhakti Mohi Dijiye.

Bhool Chook Kari Kshama Hamari.  
Darshan Dijiye Dasha Nihari.  
Bin Darshan Vyakul Adhikari.  
Tumhi Akshat Dukh Sahate Bhari.

Nahi Mohi Gyaan Buddhi Hai Tan Me.  
Sab Jaanat Ho Apne Man Me.  
Roop Chaturbhuja Karke Dharan.  
Kasht Mor Ab Karahu Nivaran.

Kahi Prakar Main Karau Badaai.  
Gyaan Buddhi Mohi Nahi Adhikaai.  
Ramadas Ab Kahai Pukari.  
Karo Door Tum Vipati Hamari.

Dohā

Trahi Trahi Dukh Haari Ni Haro Begi Sab Trasa.  
Jayati Jayati Jai Lakshmi Karo Shatru Ka Naash.  
Ramadas Dhari Dhyan Nit Vinay Karat Kar Jor.  
Matu Lakshmi Das Par Karahu Daya Ki Kor.

Iti Lakshmi Chalisā Sampurnam.

Credit Details :

Song: Shree Lakshmi Chalisa
Singer: Gaurav Bangia
Music: Jaspal Moni
Lyrics: Traditional

अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।