Dena Ho To Deejiye,
Janam Janam Ka Saath.
Ab To Kripa Kar Deejiye,
Janam Janam Ka Saath.
Mere Sar Par Rakh Banwari,
Apne Dono Yeh Haath.
Dene Wale Shyam Prabhu Se,
Dhan Aur Daulat Kya Maange.
Shyam Prabhu Se Maange To Phir,
Naam Aur Izzat Kya Maange.
Mere Jeevan Mein Ab Kar De,
Tu Kripa Ki Barsaat.
Dena Ho To Deejiye,
Janam Janam Ka Saath.
Shyam Tere Charno Ki Dhooli,
Dhan Daulat Se Mahangi Hai.
Ek Nazar Kripa Ki Baba,
Naam Izzat Se Mahangi Hai.
Mere Dil Ki Tamanna Yahi Hai,
Karun Seva Teri Din Raat.
Dena Ho To Deejiye,
Janam Janam Ka Saath.
Jhulsa Rahe Hai Gham Ki Dhoop Mein,
Pyar Ki Chhaiya Kar De Tu.
Bin Majhi Ke Naav Chale Na,
Ab Patwar Pakad Le Tu.
Mera Raasta Roshna Kar De,
Chhayi Andhiyari Raat.
Dena Ho To Deejiye,
Janam Janam Ka Saath.
Suna Hai Humne Sharanagat Ko,
Apne Gale Lagate Ho.
Aisa Humne Kya Maanga Jo,
Dene Se Ghabraate Ho.
Chahe Jaise Rakh Banwari,
Bas Hoti Rahe Mulaqat.
Dena Ho To Deejiye,
Janam Janam Ka Saath.
Dene Wale Shyam Prabhu Se,
Dhan Aur Daulat Kya Maange.
Shyam Prabhu Se Maange To Phir,
Naam Aur Izzat Kya Maange.
Mere Jeevan Mein Ab Kar De,
Tu Kripa Ki Barsaat.
Credit Details :
Song: Dena Ho To Deejiye Janam Janam Ka Saath
Singer: Mukesh Bagda
Lyrics: Jai Shankar Chaudhary
Composer: Dinesh
Album: Kirtan Ki Hai Raat
अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।