Current Date: 19 Sep, 2024

Kanhaiya Kanhaiya Pukara Karenge

- Madhavas Rock Band


Kanhaiya Kanhaiya Pukara Karenge ।
Lataon Mein Brj Ki Gujara Karenge ।

Kahi To Milenge Vo Banke Bihari,
Unhi Ke Charan Chit Lagaya Karenge ।
Kanhaiya Kanhaiya Pukara Karenge,
Latao Me Brij Ki Gujara Karenge ।।

Bana Karke Hriday Mein Ham Prem Mandir,
Waheen Unko Jhoola Jhulaya Karenge ।
Unhen Ham Bithayenge Aankhon Me Dil Me,
Unhi Se Sada Lau Lagaya Karenge ।।

Kahi To Milenge Vo Banke Bihari,
Unhi Ke Charan Chit Lagaya Karenge ।
Kanhaiya Kanhaiya Pukara Karenge,
Latao Me Brij Ki Gujara Karenge ।।

Jo Ruthenge Hamase Wo Banke Bihari,
Charan Ko Pakad Ham Manaya Karenge ।
Unhe Prem Dor Se Ham Bandh Lenge,
To Phir Vo Kaha Bhag Jaaya Karenge ।।

Kahi To Milenge Vo Banke Bihari,
Unhi Ke Charan Chit Lagaya Karenge ।
Kanhaiya Kanhaiya Pukara Karenge,
Latao Me Brij Ki Gujara Karenge ।।

Unhone Nachaya Tha Brahmand Sara,
Magar Ab Unhe Ham Nachaya Karenge ।
Bhajenge Jaha Prem Se Nand Nandan,
Kanhaiya Chhavi Ko Dikhaya Karenge ।।

Kanhaiya Kanhaiya Pukara Karenge,
Lataon Mein Brj Ki Gujara Karenge ।
Kahin To Milenge Vo Banke Bihari,
Unhi Ke Charan Chit Lagaya Karenge ।
Kanhaiya Kanhaiya Pukara Karenge,
Lataon Mein Brj Ki Gujara Karenge ।।

Credit Details :

Song: Kanhaiya Kanhaiya Pukara Karenge
Singer: Madhavas Rock Band
Music: Nirdosh Sobti

अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।