Current Date: 17 Sep, 2024

Saanwara

- Maanya Arora & Shubham


Sachche Harday Se Hoke Samarpit
Apne Thakur Ko Jo Poojata Hai
Dhundta Jo Sada Sanware Ko
Sanwara Bhi Use Dhundta Hai

Sachche Harday Se Hoke Samarpit
Apne Thakur Ko Jo Poojata Hai

Jiski Naiya Sambhale Kanhaiya
Usko Koi Bhi Dar Na Bhavar Ka
Ek Uski Hi Manzil Sahi Hai
Jo Pathik Hai Prabhu Ki Dagar Ka

Gam Ki Aandhi Use Kya Udaye
Jo Prabhu Mauj Mein Jhoomta Hai
Dhoodhta Jo Sada Sanware Ko
Sanwara Khud Usse Dhudhta Hai

Sachche Harday Se Hoke Samarpit
Apne Thakur Ko Jo Poojata Hai

Jiska Rishta Hai Maya Pati Se
Jag Ki Maya Usse Kya Lubhaye
Uski Nazaro Mein Sab Hai Barabar
Koi Apne Na Paraye

Jiske Dil Mein Basa Shyam Sundar
Har Kahi Vo Shyam Dekhata Hai
Dhoodhta Jo Sada Sanware Ko
Sanwara Khud Usse Dhudhta Hai

Sachche Harday Se Hoke Samarpit
Apne Thakur Ko Jo Poojata Hai

Prem Ki Dor Me Bandh Ke Bhagwan
Bhakt Ke Dwar Pe Chal Ke Aaye
Rang Laati Hai Chahat Tabhi To
Aake Gagar Me Sagar Samaye

Bol Teri Raja Kya Hai Pyare
Jeebh Se Brahma Yu Poojta Hai
Dhundta Jo Sada Sanware Ko
Sanwara Bhi Use Dhundta Hai

Sachche Harday Se Hoke Samarpit
Apne Thakur Ko Jo Poojata Hai

Ek Din Chhood Ke Jag Hai Jana
Binu Banja Shyam Ka Dewana
Shyam Ko Jisne Hai Mana
Usko Charno Mein Milta Thikana

Jaane Ke Baad Mein Ye Janama
Unke Charno Ki Raj Dhoodhta Hai
Dhoodhta Jo Sada Sanware Ko
Sanwara Khud Usse Dhudhta Hai

Sachche Harday Se Hoke Samarpit
Apne Thakur Ko Jo Poojata Hai

Credit Details :

Song: Saanwara 
Singer: Maanya Arora & Shubham
Music: Ramesh Mishra 
Lyrics: Binnu Ji

अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।