Current Date: 18 Dec, 2024

Nagari Nagari Dware Dware

- Lata Mangeshkar


Nagri Nagri Dware Dware,
Dhoondho Re Sanwariya,
Krishna Krishna Rat Ke Main To,
Ho Gayi Re Bawariya,
Nagri Nagri Dware Dware,
Dhoondho Re Sanwariya.

Bedardi Mohan Ne Hamko,
Saumpa Gam Ki Aag Mein,
Birha Ki Chingari Bhar Di,
Dukhiya Ke Sansar Mein,
Pal-pal Manwa Roye Chhalke,
Nainon Ki Gagariya,
Nagri Nagri Dware Dware,
Dhoondho Re Sanwariya.

Aaya Thi Ankhiyon Mein Lekar,
Sapne Kya-kya Pyar Ke,
Jata Hoon Do Aansu Lekar,
Ashaen Sab Haar Ke,
Duniya Ke Mele Mein Lut Gayi,
Jeevan Ki Gathariya,
Nagri Nagri Dware Dware,
Dhoondho Re Sanwariya.

Darshan Ke Do Bhookhe Naina,
Jeevan Bhar Na Soenge,
Bichhde Mohan Tere Karan,
Raton Ko Hum Roenge,
Ab Na Jaane Krishna Kaise,
Beetegi Umariya,
Nagri Nagri Dware Dware,
Dhoondho Re Sanwariya.

Nagri Nagri Dware Dware,
Dhoondho Re Sanwariya,
Krishna Krishna Rat Ke Main To,
Ho Gayi Re Bawariya,
Nagri Nagri Dware Dware,
Dhoondho Re Sanwariya.

Credit Details :

Song: Nagari Nagari Dware Dware
Singer: Lata Mangeshkar
Film: Mother India
Music: Naushad

अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।