Current Date: 22 Jan, 2025

Beta Jo Bulaye Maa Ko Aana Chahiye

- Sukhwinder Singh


Maiya Ji Ke Charnon Me Thikana Chahie ।
Beta Jo Bulaye Man Ko Aana Chahiye ॥
Sun Lo Ai Maa Ke Pyaro, Tum Prem Se Pukaro ।
Ayegi Shera Wali, Jagdambe Mehrawali ॥
Wo Der Na Karegi, Jholi Sada Bharegi ।
Puri Karegi Asha, Mit Jayegi Nirasha ॥
Bigde Karm Saware, Bhav Se Vo Sab Ko Tare ।
Shraddha Aur Prem Se Dhyana Chahiye,
Beta Jo Bulaye Maa Ko Aana Chahiye ॥

Akbar Ne Aajmaya, Dhyanu Ne Tha Bulaya ।
He Rajarani Aao, Ambe Bhawani Aao ॥
Jaye Na Laaj Meri, Sun Lo Awaj Meri ।
Darbar Dekhta Hai, Sansar Dekhta Hai ॥
Ghode Ka Sir Kata Hai, Mera Bhi Sir Jhuka Hai ।
Garoor Abhimani Ka Mitana Chahiye,
Beta Jo Bulaye, Maa Ko Aana Chahiye ॥

Vinti Suno Hamari, E Maiya Ai Kanwari ।
Tere Dar Pe Hai Sawali, Jana Nahin Hai Khali ॥
Baithe Hai Dera Dale, Tere Bhakt Bhole Bhale ।
Tere Naam Ke Deewane, Aaye Hai Ja Lutane ॥
Maiya Didaar De Do, Bachcho Ko Pyar De Do ।
Heere Motiyon Ka Na Khajana Chahiye,
Beta Jo Bulaye, Maa Ko Aana Chahiye ॥

Tirlok Chand Raja, Tha Bhakt Vo Bhi Maan Ka ।
Jo Bandagi Bichhayi Sang Khele Mahamai ॥

Dekha Jo Bund Pani, Kahne Laga Bhawani ।
Pani Kahan Se Aaya, Kaisi Rachayi Maya ॥

Kaisa Yah Maajra Hai, Mera to Dil Dara Hai ॥
Maa Iska Raaz Kholo, Ab Kuchh to Muh Se Bolo ।
Kahne Lagi Bhawani, Ai Mool Agyani ॥

Mujh Ko Na Ajmao, Paani Ko Bhool Jao ।
Jidd Na Karo Ai Raja, Kuchh to Daro Ai Raja ॥

Bola Vo Abhimani, Maine Bhi Man Me Thani ।
Ke Raaz Jaan Lunga, Har Baat Maan Lunga ॥

Tab Maiya Boli, Raja Na Bhool Jana Vada ।
Sach Sach to Mai Kahungi, Phir Paas Na Rahungi ॥

Sagar Me Dole Naiya, Mera Bhakt Bole Maiya ।
Har Dam Tujhe Dhyaoon, Phir Bhi Mai Doob Jaoon ॥

Kashti Bachao Mata, Shraddha Dikhao Mata ।
Mai Uski Bhi to Maa Thi, Yahan Bhi Thi Wahan Bhi ॥

Chanchal Suna Kahani, Gayab Hui Bhawani ।
Pachta Raha Tha Raja, Chilla Raha Tha Raja ॥

Shakti Ko Na Kabhi Aajmaana Chahiye ।
Beta Jo Bulaye Maa Ko Aana Chahiye ॥

Credit Details :

Song: Beta Jo Bulaye Maa Ko Aana Chahiye
Singer: Sukhwinder Singh
Music Director: Sonik - Omi
Lyricist: Narendra Chanchal 
Album: Maiya Ke Dar Jaane Waalon

अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।