Current Date: 18 Oct, 2024

Tum Kalyani Ho Mahamai

- Shahnaz Akhtar


Tum Kalyani Ho Maharani,  
Jagdambe Maa Kalyani Ho.  
Tum Sita Jagarani,  
Jagdambe Maa Kalyani Ho.  

Tum Ho Shiv Ki Shivani Mata,  
Jagdambe Maa Kalyani Ho.  
Tum Hi Radha Rani Mata,  
Jagdambe Maa Kalyani Ho.  

Bramha Veden Bakhaani Mata,  
Jagdambe Maa Kalyani Ho.  
Tum Kalyani Ho Maharani,  
Jagdambe Maa Kalyani Ho.  

Maa Ki Mahima Maa Ki Karuna,  
Saara Jag Hai Jaane Maa.  
Bramha Vishnu Shankar Tarse,  
Teri Mamta Paane Maa.  

Tum Sita Jagarani,  
Jagdambe Maa Kalyani Ho.  
Tum Ho Shiv Ki Shivani Mata,  
Jagdambe Maa Kalyani Ho.  

Tum Kalyani Ho Maharani,  
Jagdambe Maa Kalyani Ho.  

Tere Naam Ki Maala Japte,  
Ved Vyas Aur Gyani Maa.  
Bhakto Ko Var Dene Wali,  
Tum To Ho Vardaani Maa.  

Tum Sita Jagarani,  
Jagdambe Maa Kalyani Ho.  
Tum Ho Shiv Ki Shivani Mata,  
Jagdambe Maa Kalyani Ho.  

Tum Kalyani Ho Maharani,  
Jagdambe Maa Kalyani Ho.  

Kan Kan Mein Maa Shakti Teri,  
Kan Mein Roop Tumhare Maa.  
Shraddha Bhav Se Aaye Niranjan,  
Aaj Tumhare Dware Maa.  

Tum Sita Jagarani,  
Jagdambe Maa Kalyani Ho.  
Tum Ho Shiv Ki Shivani Mata,  
Jagdambe Maa Kalyani Ho.  

Tum Kalyani Ho Maharani,  
Jagdambe Maa Kalyani Ho.  

Credit Details :

Song: Tum Kalyani Ho Mahamai
Singer: Shahnaz Akhtar
Lyricist: Niranjan Sen
Music Director:  Ajaz Khan
Album: Maiya Panv Paijaniya 2

अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।