Current Date: 23 Dec, 2024

Maan Akbar Ka Ghataya Hai

- Shahnaz Akhtar


Maa Jwala Teri Daivi Shakti,  
Naman Karu Sheesh Namaya,  
Maan Bhakto Ka Badhaya Hai Re,  
Maan Bhakto Ka Badhaya Hai,  
Dhyanu Aur Ghode Ko De Di,  
Tune Jeevan Daan,  
Maan Akhbar Ka Ghataya Hai.  

Himachal Pradesh Mein Ek Zila Kangra Hai,  
Siddhpeetho Mein Sthaan Sabse Bada Hai,  
Are Jo Bhi Jaaye Khali Na Aaye,  
Paye Nit Vardan,  
Sabhi Par Uski Chhaya Hai Re,  
Sabhi Par Uski Chhaya Hai,  
Dhyanu Aur Ghode Ko De Di,  
Tune Jeevan Daan,  
Maan Akhbar Ka Ghataya Hai.  

Nagarkot Ka Tha O Pujari,  
Aur Maa Jwala Pooja Ki Kar Li Taiyari,  
Are Bhakto Ka Jattha Bahut Bada Tha,  
Poora Ek Hazaar,  
Chala Dilli Tak Aaya Hai Re,  
Chala Dilli Tak Aaya Hai,  
Dhyanu Aur Ghode Ko De Di,  
Tune Jeevan Daan,  
Maan Akhbar Ka Ghataya Hai.  

Akhbar Ne Poocha Kaun Ho Aur Kaha Jaate Ho Bhai,  
Aur Itne Logo Ki Bheer Tumhare Sang Hai Aayi,  
Dhyanu Bola Main Sevak Mata Jwala Ka,  
Dhyan Mata Ka Aaya Hai Re,  
Dhyan Mata Ka Aaya Hai,  
Dhyanu Aur Ghode Ko De Di,  
Tune Jeevan Daan,  
Maan Akhbar Ka Ghataya Hai.  

Itna Keh Akhbar Ne Shamsheer Uthaai,  
Aur Ek Jhatke Mein Ghode Ki Gardan Alag Kar Daali,  
Gar Sat Ki Devi Hai To Judwa Dena Sheesh,  
Jise Dharti Pe Giraya Hai Re,  
Jise Dharti Pe Giraya Hai,  
Dhyanu Aur Ghode Ko De Di,  
Tune Jeevan Daan,  
Maan Akhbar Ka Ghataya Hai.  

Hey Mateshwari Antaryami Ghatghat Tu Waasi Hai,  
Aur Le Raha Akhbar Pariksha Isliye Mann Udaasi Hai,  
Hai Kathin Pariksha Aaj Tu Mata Rakhna Meri Laaj,  
Kasam Maine Bhi Khaya Hai Re,  
Kasam Maine Bhi Khaya Hai,  
Dhyanu Aur Ghode Ko De Di,  
Tune Jeevan Daan,  
Maan Akhbar Ka Ghataya Hai.  

Khush Hokar Prakat Hui Maa Sakshat Bhavani Jwala,  
Aur Sheesh Jodkar Usne Dhyanu Ko Zinda Kar Daala,  
Are Tu Zinda Tera Ghoda Zinda Maang Maang Vardan,  
Tere Jo Mann Mein Bhaya Hai Re,  
Tere Jo Mann Mein Bhaya Hai,  
Dhyanu Aur Ghode Ko De Di,  
Tune Jeevan Daan,  
Maan Akhbar Ka Ghataya Hai.  

Ghode Ko Zinda Dekhkar Baari Baari Mann Ghabraaye,  
Aur Daudkar Akhbar Ko Saara Karishma Batlaaye,  
Sunkar Saara Hal Hua Akhbar Hi Ab Behaal,  
Bahut Mann Mein Ghabraaya Hai Re,  
Bahut Mann Mein Ghabraaya Hai,  
Dhyanu Aur Ghode Ko De Di,  
Tune Jeevan Daan,  
Maan Akhbar Ka Ghataya Hai.  

Sawa Mann Sone Ka Chhatra Akhbar Ne Kandhe Par Daara,  
Nange Pair Pag Pedal Pahucha Bechaara,  
Chhatra Chadhane Se Pehle O Ho Gaya Chakna Choor,  
Maan Akhbar Ka Ghataya Hoo Re,  
Maan Akhbar Ka Ghataya Hai,  
Dhyanu Aur Ghode Ko De Di,  
Tune Jeevan Daan,  
Maan Akhbar Ka Ghataya Hai.  

Maa Jwala Teri Daivi Shakti,  
Naman Karu Sheesh Namaya,  
Maan Bhakto Ka Badhaya Hai Re,  
Maan Bhakto Ka Badhaya Hai,  
Dhyanu Aur Ghode Ko De Di,  
Tune Jeevan Daan,  
Maan Akhbar Ka Ghataya Hai. 

Credit Details :

Song: Maan Akbar Ka Ghataya Hai
Singer: Shahnaz Akhtar
Album: Maiya Panv Paijaniya
Lyricist: Ajaz Khan
Music Director: Ajaz Khan

अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।