Current Date: 22 Jan, 2025

Maa Ke Rahte Bhakt Kabhi Ro Nahi Sakta

- Saurabh-Madhukar


Maa Ke Rahte Bhagat  
Kabhi Ro Nahi Sakta  
Bhakt Bhulaaye Maa Nahi Aaye  
Ho Nahi Sakta  

Bhagat To Jaan Hai Iski  
Bhagat Me Praan Atke Hai  
Bhakt Ko Yaad Kar Kar Ke  
Iske Din Raat Kutte Hai  
Aur Kahin Par Maiya Ka  
Dil Nahi Lagta  
Bhakt Bhulaaye Maa Nahi Aaye  
Ho Nahi Sakta  

Bhagat Thokar Kha Kar Girta  
Isko Chot Aati Hai  
Bhakt Ke Paas Me Iski  
Aatma Daur Jaati Hai  
Mandir Me Rukna Ke  
Phir Dil Nahi Karta  
Bhakt Bhulaaye Maa Nahi Aaye  
Ho Nahi Sakta  

Chahe Ghar Me Chahe Mandir Me  
Maa To Bas Maa Hi Hoti Hai  
Bhakt Ke Aankh Bhar Aaye  
To Aankhe Maa Ki Roti Hai  
Maa Ki Tulna Koi Bhi  
Kar Nahi Sakta  
Bhakt Bhulaaye Maa Nahi Aaye  
Ho Nahi Sakta  

Buri Nazaro Se Ye Maiya  
Bacha Ke Rakhti Hai  
Seene Se Vanwari Hamko Ye  
Miyan Laga Kar Rakhti Hai  
Ungli Pakad Kar Rakhti  
Beta Kho Nahi Sakta  
Bhakt Bhulaaye Maa Nahi Aaye  
Ho Nahi Sakta  

Credit Details :

Song: Maa Ke Rahte Bhakt Kabhi Ro Nahi Sakta
Singer: Saurabh-Madhukar
Lyrics: Jay Shankar Chaudhary Banwari
Music: Kamlesh Deepak Drolia

अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।