Aaye Navratre Mata Ke Jai Ho Navratre Mata Ke,
Aate Hai Har Saal Navratre Mata Ke,
Are Mai Pooju Har Baar Navratre Mata Ke,
Aaye Navratre Mata Ke Jai Ho Navratre Mata Ke,
Pehle Navratre Khet Chaitra Vich Ke Maa Ki Jyot Jagaao,
Are Dooje Navratre Maiya Ji Ko Pyaar Se Manaao,
Navratre Mata Ke,
Aaye Navratre Mata Ke Jai Ho Navratre Mata Ke,
Teeje Navratre Mata Ki Sab Pooja Karte Rehna,
Are Jai Mata Di Jai Mata Di Shwaas Shwaas Mein Kehna,
Navratre Mata Ke,
Aaye Navratre Mata Ke Jai Ho Navratre Mata Ke,
Chautha Navratre Hai Phaldayak Vedon Ne Gungaya,
Paanchve Navratre Mein Pandav Ne Maa Ka Bhavan Banaya,
Navratre Mata Ke,
Aaye Navratre Mata Ke Jai Ho Navratre Mata Ke,
Chhatte Navratre Mein Dhanu Ne Maa Ka Darshan Paya,
Laaj Bhagat Ki Rakhli Maa Ne Akhbar Ka Maan Ghataya,
Navratre Mata Ke,
Aaye Navratre Mata Ke Jai Ho Navratre Mata Ke,
Saptam Ke Din Saath De Diya Bhakton Ko Var Deti,
Riddhi Siddhi Ke Khol Bhandare Bhakton Ke Ghar Bharti,
Navratre Mata Ke,
Aaye Navratre Mata Ke Jai Ho Navratre Mata Ke,
Ashtami Ka Din Hai Pyaara Kanya Poojan Karlo,
Maa Gauri Ka Darshan Paatkar Khaali Jhooli Bharlo,
Navratre Mata Ke,
Aaye Navratre Mata Ke Jai Ho Navratre Mata Ke,
Aaye Navratre Mata Ke Jai Ho Navratre Mata Ke,
Aate Hai Har Saal Navratre Mata Ke,
Are Mai Pooju Har Baar Navratre Mata Ke,
Aaye Navratre Mata Ke Jai Ho Navratre Mata Ke.
Credit Details :
Song: Aaye Navratre Mata Ke
Singer: Rekha Garg
Music: Rinku Gujral
Lyrics & Composer: Traditional
अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।