Kaise Yah Deri Lagai Durge,
He Maat Meri, He Maat Meri.
Bhav Sagar Mein Ghira Pada Hoon,
Kaam Aadi Grih Mein Ghira Pada Hoon.
Moh Aadi Jaal Mein Jakda Pada Hoon,
He Maat Meri, He Maat Meri.
Na Mujh Mein Bal Hai, Na Mujh Mein Vidya,
Na Mujh Ne Bhakti, Na Mujh Mein Shakti.
Sharan Tumhari Gira Pada Hoon,
He Maat Meri, He Maat Meri.
Na Koi Mera Kutumb Saathi,
Na Hi Mera Sharir Saathi.
Aap Hi Ubharo Pakad Ke Baahen,
He Maat Meri, He Maat Meri.
Charan Kamal Ki Nauka Bana Kar,
Main Paar Hoon Ga Khushi Mana Kar.
Yam Dooton Ko Maar Bhaga Kar,
He Maat Meri, He Maat Meri.
Sada Hi Tere Gunon Ko Gaoon,
Sada Hi Tere Saroop Ko Dhyaaoon.
Nit Prati Tere Gunon Ko Gaoon,
He Maat Meri, He Maat Meri.
Na Main Kisi Ka, Na Koi Mera,
Chhaya Hai Charo Taraf Andhera.
Pakad Ke Jyoti Dikhado Rasta,
He Maat Meri, He Maat Meri.
Sharan Pade Hain Hum Tumhari,
Karo Yah Naiya Paar Hamari.
Kaise Yah Deri Lagai Hai Durge,
He Maat Meri, He Maat Meri.
Credit Details :
Song: Hey Maat Meri Aarti
Singer: Narendra Chanchal
Music Director: Surinder Kohli
Lyricist: Balbir Nirdosh
अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।