Current Date: 18 Jan, 2025

Main Pardesi Hoon

- Anuradha Paudwal & Udit Narayan


Ho Main Pardesi Hoon Pehli Baar Aaya Hoon
Darshan Karne Maiya Ke Darbaar Aaya Hoon
Ho Main Pardesi Hoon Pehli Baar Aaya Hoon
Darshan Karne Maiya Ke Darbaar Aaya Hoon

Ae Laal Chunariya Wali Beti
Ye To Batao Maa Ke Bhavan Jaane Ka Raasta Kidhar Se Hai
Idhar Se Hai Ya Udhar Se

Sun Re Bhakt Pardesi Itni Jaldi Hai Kaisi
Are Zara Ghoom Lo Phir Lo Raunak Dekho Katra Ki

Jao Tum Wah Jao Pehle Parchi Katao
Dhyaan Maiya Ka Dharo Ik Jaikara Lagao
Chale Bhakton Ki Toli Sang Tum Mil Jao
Tumhe Raasta Dikhadu Mere Peeche Chale Aao

Ye Hai Darshani Dyoidhi Darshan Pehla Hai Ye
Karo Yatra Shuru To Jai Mata Di Keh

Yahan Talak To Laayi Beti Aage Bhi Le Jao Na
Main Pardesi Hoon Pehli Baar Aaya Hoon
Darshan Karne Maiya Ke Darbaar Aaya Hoon
Itna Sheetal Jal Ye Kaun Sa Sthaan Hai Beti

Ye Hai Baanganga Pani Amrit Samaan
Hota Tan Man Paawan Karo Yahan Snaan
Maatha Mandir Mein Teko Karo Aage Prasthan
Charan Paaduka Woh Jaane Mahima Jahaan

Maiya Jag Kalyani Maaf Karna Meri Bhool
Maine Maathhe Se Lagayi Teri Charno Ki Dhool
Yahan Talak To Laayi Beti Aage Bhi Le Jao Na
Main Pardesi Hoon Pehli Baar Aaya Hoon
Darshan Karne Maiya Ke Darbaar Aaya Hoon

Ye Hum Kaha Aa Pahunchhe, Ye Kaun Si Jagah Hai Beti

Ye Hai Aadi Kumari Mahima Hai Iski Bhaari
Garbajoon Bakupa Hai Katha Hai Jiski Nyari
Bhairon Jati Ik Jogee Maas Madira Haari
Lene Maa Ki Pariksha Baat Usne Vichari

Maas Aur Madhu Maange Mati Uski Thi Maari
Hui Antardhyaan Mata Aaya Peeche Duraachaari
Nau Mahine Isime Rahi Maiya Avtaari
Ise Gufa Garbajoon Jaane Duniya Ye Saari

Aur Gufa Se Nikal Kar Mata Vaishno Rani
Upar Paawan Gufa Mein Pindi Roop Mein Prakat Hui

Dhanya Dhanya Meri Mata Dhanya Teri Shakti
Milti Paapon Se Mukti Karke Teri Bhakti
Yahan Talak To Laayi Beti Aage Bhi Le Jao Na
Main Pardesi Hoon Pehli Baar Aaya Hoon
Darshan Karne Maiya Ke Darbaar Aaya Hoon

Oh Meri Maiya Itni Kathin Chadhai
Ye Kaun Sa Sthaan Hai Beti

Dekho Uncha Woh Pahaad Aur Gahri Khaai
Zara Chadhna Sambhal Ke Hatthe Mathe Ki Chadhai
Tede Medhe Raste Hai Par Darna Na Bhai
Dekho Samne Woh Dekho Saang Chhat Ki Dikhai

Pardesi Yahan Kuch Kha Lo Pee Lo
Bas Thodi Yatra Aur Baaki Hai

Aisa Lagta Hai Mujhko Mukaam Aa Gaya
Mata Vaishno Ka Nikat Hi Dham Aa Gaya
Yahan Talak To Laayi Beti Aage Bhi Le Jao Na
Main Pardesi Hoon Pehli Baar Aaya Hoon
Darshan Karne Maiya Ke Darbaar Aaya Hoon

Wah Kya Sundar Nazara Hai
Aakhir Hum Maa Ke Bhavan Pahunch Hi Gaye Na
Ye Paawan Gufa Kidhar Hai Beta

Dekho Samne Gufa Hai Maiya Rani Ka Dwaara
Mata Vaishno Ne Yahan Roop Pindiyon Ka Dhaara
Charan Ganga Mein Naha Lo Thaali Pooja Ki Saja Lo
Le Ke Laal Laal Chunari Apne Sar Pe Bandhwa Lo
Jaake Sindoori Gufa Mein Maa Ke Darshan Pa Lo
Bin Maange Hi Yahan Se Mann Ichha Phal Pa Lo

Gufa Se Baahar Aakar Kanjke Bithate Hai
Unko Halwa Puri Aur Dakshina De Kar Aashirwad Paate Hai
Aur Lautte Samay Baba Bhairo Darshan Karne Se Yatra Sampurn Maani Jaati Hai

Aaj Tumne Saral Pe Upkar Kar Diya
Daaman Khushiyon Se Anand Se Bhar Diya
Bheje Bulawa Bhi Agle Bars Bhi Pardesi Ko Bulao Maa
Har Saal Aunga Jaise Is Baar Aaya Hoon
Main Pardesi, O Maiya Main Pardesi, Pardesi
Main Pardesi Hoon Pehli Baar Aaya Hoon
Darshan Karne Maiya Ke Darbaar Aaya Hoon

Credit Details :

Song: Main Pardesi Hoon
Singer: Anuradha Paudwal, Udit Narayan
Music Director: Anand Raj Anand
Lyricist: Saral Kavi

अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।