Tere Charno Mein Hum Apni Shraddha Ke Phool Chhadhayenge,
Jab Tak Hai Saanse Is Tan Mein Hum Tera Hi Gun Gaye Ge,
Tune To Hum Ko Bahut Diya Bhar Di Tune Jholi Khaali,
Jeevan Ki Bagiyan Mahka Di Rakhwaali Ki Ban Kar Maali,
Rakhee Na Koi Tune Kami Har Sukh Ko Tune Paaya Hai,
Jeevan Hai Mera Badal Gaya Tune Jab Se Apnaya Hai,
Tere Charno Mein Hum Apni Shraddha Ke Phool Chhadhayenge,
Bhagwan Aur Bhakt Ka Duniya Mein Rishta To Bada Hi Nyara Hai,
Jo Sharan Tumbhari Aata Hai Baba Wo Tujhko Pyaara Hai,
Bhandar Tera Hai Bahut Bada Kuch Pyaar Hume Bhi Dedo Tum,
Phir Aur Na Kuch Main Maangu Ga Hume Apni Sharan Mein Lelo Tum,
Tere Charno Mein Hum Apni Shraddha Ke Phool Chhadhayenge,
Tere Hi Bharose Jeete Hai Lete Bas Naam Tumnhara Hai,
Charno Ki Seva Saunpee Hai Ye Bhi Upkaar Tumhara Hai,
Isha Hai Hamari Ik Yehi Ke Darsh Tumhara Paayenge,
Sir Haath Phirdo He Baba Hum Bhav Saagar Tar Jayenge,
Tere Charno Mein Hum Apni Shraddha Ke Phool Chhadhayenge.
Credit Details :
Song: Tere Charno Men Hum
Singer: Vijay Soni
Lyrics: Brijratan Daga, Sunil Gupta, Ravi Kejariwal & Shyam
अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।