Mera Bhola Hai Bhandari,
Kare Nandi Ki Sawari,
Bhole/Shambhu Nath Re,
Shankar Nath Re
Tera Naam Hai Taranhaara,
Ek Toon Hi Hai Palanhaara,
Bhole Nath Re,
Shankar Nath Re
Mere Saath Re,
Toon Mere Saath Re
Tamaam Srishti Ka Saar Toon Hai,
Vikaar Toon Nirvikar Toon Hai,
Kahun Kya Waare Main Bhole Tere,
'Asim Toon Hai Aapaar Toon Hai'
Zubaan Pe Shambhu Hai Vaas Tera,
Nigaah Mein Bhi Nivaas Tera,
Samae Dil Mein Hai Teri Surat,
'Wazood Mujh Mein Hai Khaas Tera'
Ganga Sohe Jiske Kesha,
Karta Mangal Jo Hamesha,
Bhole Nath Re,
Shankar Nath Re
Toon Hi Tripuraari Kailashi,
Toon Hi Dukh Bhajan Avinashi,
Shambhu Nath Re, Shankar Nath Re
Mera Bhola Hai Bhandari,
Jise Pooje Duniya Saari,
Bhole/Shambhu Nath Re,
Shankar Nath Re
Mere Saath Re,
Toon Mere Saath Re
Udaasion Ko Mita Diya Hai,
Chiraag Dil Mein Jala Diya Hai,
Hamesha Se Bhole Nath Tune,
'Sukh Ka Rasta Dikha Diya Hai'
Nahi Hai Koi Sivaaye Tere,
Bane Hain Hum To Banaaye Tere,
Agam Bhi Toon Hai Sugam Bhi Toon Hai,
'Hai Khel Yeh Sab Rachaye Tere'
Peeker Khud Hi Vish Ka Pyaala,
Duniya Ko Amrit De Daala,
Bhole Nath Re,
Shankar Nath Re
Kul Srishti Ka Chakra Chalaaye,
Bin Gauraan Aadha Kehlaaye,
Shambhu Nath Re, Shankar Nath Re
Mera Bhola Hai Bhandari,
Kare Nandi Ki Sawari,
Bhole/Shambhu Nath Re,
Shankar Nath Re
Mere Saath Re,
Toon Mere Saath Re
Namami Parameshwaraya Shankar,
Namami Sarveshwaraya Shankar,
Namami Yogeshwaraya Shankar,
'Namami Bhuvaneshwaraya Shankar'
Mera Bhola Hai Bhandari,
Kare Nandi Ki Sawari,
Bhole/Shambhu Nath Re,
Shankar Nath Re
Mere Saath Re,
Toon Mere Saath Re
Credit Details :
Song: Mera Bhola Hai Bhandari
Singer: Siddharth Mohan
Music: Bawa Gulzar
Lyrics: Pradeep Sahil
अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।