Koi Devta Nahi Hai Bhole Nath Ki Tarah,
Luta Te Hai Khazane Bade Saab Ki Tarah...
Shiv Ne Hamare Vaaste Kya Kya Nahi Kiya,
So Baar Shukriyaan Hai So So Baar Shukriyaan,
Rakhte Khyaal Mera Aulad Ki Tarah,
Lutate Hai Khazana Bade Saab Ki Tarah...
Ehsaaan Inke Lakhon Hai Kitne Main Ginaun,
Kis Kis Bataun Aur Kya Kya Bataun,
Ye Laaj Meri Samje Apni Laaj Ki Tarah,
Lutate Hai Khazana Bade Saab Ki Tarah...
Ab Maangne Ko Haath Ye Uth Te Nahi Mere,
Kehta Pavan Ab Koi Chinta Nahi Mere,
Rahe Sang Ye Hamesha Meri Saas Ki Tarah,
Lutate Hai Khazana Bade Saab Ki Tarah...
Credit Details :
Song: Koi Devta Nahi Hai Bholenath Ki Tarah
Singer: Saurabh Madhukar
Lyrics: Pawan Agarwal
अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।