Current Date: 05 Apr, 2025

He Nath Jani Ajan Balak

- Naisha Joshi & Shail Hari Pandey


Hey Nath Jani Ajaan Baalak, Vishwanath Maheshwaram,
Karike Kripa Deejo Darsh Avinashi Shankar Sundaram.

Aaya Sharan Hoon Aapki Itni Anugrah Keejiye,
Jai Chandramouli Kripalu Ab Tum Darsh Moko Deejiye.

Le Ramnaam Nishankar Keenhi Hai Garal Aahaar Tum,
Bhav-Sindhu Se Naiya Meri Kar Dena Bhola Paar Tum.

Mansaa Vaachaa Karmano Se, Paap-Ati Humne Kiyo,
Aayo Sharan Sharanagati Ki Sudh Nahi Ab Tak Liyo.

Ab To Tumhare Haath Hai, Girjaapti Meri Gati,
Jai Pashupati, Jai Pashupati, Jai Pashupati, Jai Pashupati.

Jai Jayati Yogeshwar Tumhi, Bal-Buddhi Ke Prakaash Tum,
Man-Mand Beech Nivaas Kariye, Jaan Jan Sukhrashi Tum.

Lajja Humari Rakhna Shiv Aapke Hi Haath Hai,
Tumsaa Na Koi Dayalu Bhakt, Kripalu Deenanath Hai.

Tray-Taap Mochan Jai Trilochan Purn Paravaar Jai,
Kailashvaasi Siddhakashi, Daya Ke Aagaar Jai.

Shiv Daya Ke Sindhu Ho, Jan Hai Sharan Jan Pheriye,
Karike Kripa Ki Kor Shankar Deen Jain Dishi Heriye.

Shubh Vel Ke Kuch Patra Hai, Kuch Pushp Hai Mandaar Ke,
Phal Hai Dhature Ke Ghare Kachhu Sang Achhat Dhaari Ke.

Seva Hamari Tuchchh Hai, Phal Kaamnaa Man Mein Badi,
Par Asha Bholaath Se Rehti Hriday Mein Har Ghadi.

Hey Vishwanath Mahesh Apni Bhakti Kripya Deejiye,
Nirbhar Nidar Nishak Kariye, Shakti Apni Deejiye.

Hon Satya-Bratdhaari Hriday Mein, Bhavna Aisi Bhare,
Bam Bam Hare, Bam Bam Hare, Bam Bam Hare, Bam Bam Hare.

Mandit Jata Mein Gang Dhaara, Taap Loko Ke Hare,
Shashibhaal Tab Yash Chandrika, Sabke Hriday Sheetal Kare.

Var De Varad Vardaniyon, Dhan-Dhaanya Se Dharti Bhare,
Jai Shiv Hare, Jai Shiv Hare, Jai Shiv Hare, Jai Shiv Hare.

Credit Details :

Song: He Nath Jani Ajan Balak
Singer: Naisha Joshi & Shail Hari Pandey
Lyrics: Traditional
Music: Shailesh Pandya

अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।