Jai Kaal Mahakaal Vikraal Shambho,
Jeevan Ho Ya Mrityu Dono Hi Tum Ho,
Janmon Janmantar Ki Ladiyan Ye Kadiyan,
Har Yoni Har Jeevan Rakhwal Tum Ho,
Jai Kaal Mahakaal,
Jai Kaal Mahakaal…
Srishti Ke Sanchaalak Mahapran Tum Ho,
Tum Hi Sukh, Tum Hi Dukh, Nirvan Tum Ho,
Suraj Se Tejasvi Sagar Se Nirmal,
Chanda Bhi, Taare Bhi, Brahmand Tum Ho,
Jai Kaal Mahakaal,
Jai Kaal Mahakaal...
Jeevan Ki Naiya Tum, Patwar Tum Ho,
Is Paar, Us Paar, Majhdhaar Tum Ho,
Kan-Kan, Ye Har Kshan, Ye Tumse Bana Hai,
Goonje To Ghat Bheetar Omkar Tum Ho,
Jai Kaal Mahakaal,
Jai Kaal Mahakaal...
Himalay Ke Sar Ka Shringar Tum Ho,
Ganga Ki Paavan Si Ek Dhaar Tum Ho,
Dam Dam Dam Damaru Ka Ek Naad Tum Ho,
Shankhon Ke Hridayon Ki Hunkar Tum Ho,
Jai Kaal Mahakaal,
Jai Kaal Mahakaal...
Jai Kaal Mahakaal Kirpaal Shambho,
Trilok Vyape Hai Tere Charan Ho,
Teri Kripa Ho To Jeevan Prakat Ho,
Tere Hi Kop Se Srishti Bhasm Ho,
Jai Kaal Mahakaal,
Jai Kaal Mahakaal…
Jeevan Ka Mrityu Ka Khela Rachaya,
Ek Laya Duniya Mein Ek Bhijwaya,
Insaan Bechare Ne Aansu Bahaya,
Tera Ye Khela Samajh Hi Na Paya,
Tera Ye Khela Samajh Hi Na Paya...
Socha Ki Apna Koi Khoya Ganwaya,
Jo Tera Tha Wo Jaakar Tujh Mein Samaaya,
Jo Tera Tha Wo Jaakar Tujh Mein Samaaya,
Jo Tera Tha Wo Jaakar Tujh Mein Samaaya...
Jai Kaal Mahakaal Vikraal Shambho,
Jeevan Ho Ya Mrityu Dono Hi Tum Ho,
Janmon Janmantar Ki Ladiyan Ye Kadiyan,
Har Yoni Har Jeevan Rakhwal Tum Ho,
Jai Kaal Mahakaal,
Jai Kaal Mahakaal…
Credit Details :
Song: Jaikal Mahakal
Singer: Amit Trivedi & Suhas Sawant
Music: Amit Trivedi
Lyrics: Swanand Kirkire
अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।