Current Date: 21 Feb, 2025

Aaya Fagan Rang Rangila

- Bhawna Swaranjali


Aaya Phagan Rang Rangeela,
Tikat Katha Lo Khaatu Ki
Shyam Dhani Ka Aaya Mela,
Tikat Katha Lo Khaatu Ki
Macha Hai Khoob Dhamal,
Ud Rahe Rang Gulal
Neela Peela Laal,
Rang Ka Phaila Jaal

Sanwariya Ka Lakhkhi Mela,
Phagan Mein Jab Aata Hai
Shyam Premiyon Pe Masti Ka,
Rang Ajab Chadh Jata Hai
Chhod Ke Saari, Duniya Daari,
Shyam Ki Dhun Mein Rehte Hain
Hum Deewane Shyam Prabhu Ke,
Thok Ke Seena Kehte Hain
Hota Ye Tyohar Rangeela,
Tikat Katha Lo Khaatu Ki
Aaya Phagan Rang Rangeela

Jaipur Se Badh Jaati Hai,
Halchal Khaatu Dhaam Ki
Jaikaaron Ki Goonj Sunai,
Deti Shyam Ke Naam Ki
Bas Ho Chahe Train Mein Bhar Kar,
Premi Khaatu Aate Hai
Kuch Premi Apni Gaadi Se,
Sang Parivaar Ke Aate Hai
Shyam Ka Mandir Saja Sajeela,
Tikat Katha Lo Khaatu Ki
Aaya Phagan Rang Rangeela

Sanwariya Se Chalke Milenge,
Milke Dhoom Machayenge
Khelenge Wahan Jam Kar Holi,
Shyam Ko Rang Lagayenge
Itar Ki Baushaar Karenge,
Rang Abir Udayenge
Bana Ke Kundan Premiyon Sang,
Toli Dhoom Machayenge
Khaatu Wala Chhail Chabeela,
Tikat Katha Lo Khaatu Ki
Aaya Phagan Rang Rangeela

Credit Details :

Song: Aaya Fagan Rang Rangila
Singer: Bhawna Swaranjali
Music: Suraj Vishwakarma
Lyrics: Kundan Akela

अगर आपको यह भजन अच्छा लगा हो तो कृपया इसे अन्य लोगो तक साझा करें।